Manicure Pedicure Ab Ghar Par Urdu/Hindi

Manicure Pedicure Ab Ghar Par


Chehray kay sath hathon aur paon ki hifazat bhi nehayat zaroori hai. Aaj kal chote bare har tarah kay beauty parlour mein manicure aur pedicure ka mokammal intezam mojood hota hai. WowBox bta raha hai keh ghar par bhi manicure ya pedicure kiya ja sakta hai.

Manicure ka tarika:
Sab sey pehle garam pani mein thora sa shampoo, detol, chuqandar kay aik do pieces, lemon juice thora sa aur badam ka tail (almond oil) kay chand drop mila kar hath dubone sey sari thakan jati rehti hai aur in ki rungat bhi nikhar jati hai. 10 -15 minute is amal ke baad towel sey nails kay ird gird nazar aane wali cuticles ko cuticle cream laga kar massage karen phir orange stick ki madad sey cuticles ko saaf kar lein.

Pedicure ka tarika:
Paon ki fingers kay nails ko ambry board sey tarashne kay baad garam pani mein 15-20 minute tak bhigona chahiye. Pani mein manicure kay ajza shamil karein. Phir cuticle cream ka massage aur cuticle ko orange stick sey piche karne ka marhala aata hai. Ab nails ko tissue paper sey saaf kiya jata hai. Hand aur feet cream sey khushk paon ka massage, foot scrub, mask, vasline aur bleach ki jaye gi. Agar nails par nails polish lagi ho to pedicure shuru karne sey pehle usse nail polish removal sey saaf kar lein.

Post a Comment

Previous Post Next Post