Baalon ko safed hone sey bachayen;
Baalon ka safed hona waisey to aam bat hai, Lekin kai baar baalon ka thek sey khayal nahi rakhne par bhi baal waqt sey pehle safed ho jatey hain. Baalon par chemical ka istemal karna aur safed baal kale karney key liye dye karney sey bhi kale baal lagatar safed baalon mein badalte rehtey hain. Isliye baalon ko kala karney key liye hamesha natural tariko ka hi istemal karna chahiye.
Baalon ko safed honey sey bachaney key liye shikakai, mash ki daal aur methi sil par bareek pees kar is sey sir dhoya jaye tou na sirf apky baal jharna khatam hojaen gaen bulkey baal safed hona bhi bund hojaen gaen.